Pages

Sunday 18 May 2014

Tum Nakiyon Ki Taraf Daudo

Tum Jahan Kahin Bhi Hoge,
ALLAH Tumhari (Madad) K Liye Krega
Allah Hr Cheez Pe Qadir Hai.
Sura-E-Baqra_148

Jinho Ne Namaz Ko Zaaye Kiya

Jinho Ne Namaz Ko Zaaye Kiya,
Or Khuwahish-e-Nafs K Pairwi Ki,
Wo Jald Hi Anjaam-e-Bad Se Do-Chaar Honge.
(Surat-al-Meryam:59)

Kya Imaan Waalo Ko Abhi Wo Waqt Na Aaya

Qura'an:
Kya Imaan Waalo Ko Abhi Wo Waqt Na Aaya Ki Unke DIL Jhuk Jae
ALLAH Ki Yaad,
Or Us Haq (Yaani Qur'aan) K Liye Jo Utra.
(Sure Hadid 16)

Nafs Ko Khwahish Se Roka

QUR'AAN
Wo Jo Apne Rab Ke Huzur Khade Hone Se Dra,
Aur Nafs Ko Khwahish Se Roka,
To Be-Shakh JANNAT Hi Thikana H.
(Sure Naaziaat 40,41)

Yuhi Rehman Nahi Kehlata Mera Rab

* Yuhi Rehman Nahi Kehlata Mera Rab,
Aap(Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:
Allah Ta'ala Ka Farman-e-Haq Hai,
"Ke Jab Mera Banda Naiki Ka Irada Kare,
To (Ae Farishto) Iski 1 Naiki Likho,
Phir Agar Wo Kar Chuke,
To Iski 10 Naikiya Likhlo,
Agar Wo Burayi Ka Irada Kare To Kuch Na Likho,
Agar Kar Chuke To 1 Hi Burayi Likho,
Aur Agar Na Kare To Iske Liye Bhi 1 Naiki Likho,
Phir Ye Ayat Tilawat Farmayi,
(Termizi Sharif)
.
* Al-Quran
"Jo Koi Allah Ke Yahan Naiki Le Kar Aayega Ise Iska 10 Guna Sawaab Milega,
Aur Jo Koi Burayi Layega Ise Itni Hi Saza Di Jayegi,
Jitni Isne Burayi Ki."
(Sureh Al-Anaam,V-160)

Jis Par Allah La'anat Kar De

* Al-Qur'aan,
Jis Par Allah La'anat Kar De,
Uska Koi Madadgaar Nahi.
(Sureh Nisa-52)

Is Zameen Ke Waris

* Al-Qur'aan,
Is Zameen Ke Waris Mere Naik Bande (WALI
ALLAH) Hain.
(Sura Al Ambia,Ayat-105)

Dua Quran Se

* Ya Rab!
Hamare Aur Hamare
Bhayiyo Ke,
Jo Humse Pahle Imaan Laye Hain Ke Gunaah Ma'af Farma,
Aur Momeeno Ki Taraf Se Hamare Dil Mein Keena (Hasad) Paida Na Hone De,
Ya Rab!
Tu Bada Shafqat Karne Wala Aur Meharbaan Hai.
(Al Quran Surah Al Hashr-59, Verses-10)

Allah Taala Kin Logo Se Muhbbat Karta Hai?

 AL-QURAN:
*1) Aur Allah Ta'ala "Sabr" Krne Waalo Se Mohbbat Krta Hai.
.
[Al-Imran, 146]
.
*2) Beshak Allah Ta'ala "Insaaf" Krne Waalo Se Mohbbat Krta Hai.
.
[Al-Mumtahina, 8]
.
*3) Beshak Allah Ta'ala Un Se Mohbbat Krta Hai,
Jo Us Par "Tawakkal" Krte Hain.
.
[Al-Imran, 159]
.
*4) Beshak Allah Ta'ala Un Se Mohbbat Krta Hai,
Jo Bahot "Tauba" Krte Hain.
.
[Al-Baqara, 222]
.
*5) Or Allah Ta'ala "Paak Rahne" Waalo Se Mohbbat Krta Hai.
.
[Sureh Touba, 108]
.
* Allah Amal Ki Taufiq De,
Aameen Summa Aameen *

Iman Walo Ki Baat To Bas Ye Hoti Hai

* Al-Quran:
Iman Walo Ki Baat To Bas Ye Hoti Hai,
Ki Jab Unhe Is Liye Bulaya Jaye,
Ki Allah Aur Uske Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Un Mein Faisla Kar De To Wo Kehte Hain,
"Ke Hum Ne Suna Aur Beshaq Maan Liya,
Yahi Log Kaamyab Hone Wale Hain.
.
(Surah Al-Noor, Aayat-51)

Kamyab Kaun Hone Wale Hain ?

 Al-Quran:
Aur Tumhe Aisa Maahaul Ikhtiyar Kar Lena Chahiye,
Jo Neki Ki Ore(Taraf) Bhalayi Ka Hukm De,
Aur Burayion Se Rokte Rahein,
Jo Log Ye Kaam Karenge Wohi Kamyab Hone Wale Hain.
.
(Ref: Surah Al-Imran, Aayat-104)